Mujh sa na de zamanay main parwar'digaar dil
Ashafta dil , fareefta dil , be'qarar dil
Mashoor ho gayi hai ziarat shaheed ki
Khoon kushta arzoo ka bana hai mizaar dil
Us ki talaash hai keh nazar aye arzoo
Zaalim ne roz chaak kiye hai hazaar dil
Pehlay pehal ki chah ka karain na imtihaan
Ana to seekh le abhi do chaar baar dil
Niklay meri baghal se woh aisi tarap ke saath
Yaad aa gaya mujhe wahin be'iktiyaar dil
Aashiq huye woh jab se adoo par yeh haal hai
Rakh rakh ke haath dekhtay hain bar bar dil
Us ne kaha hai sabar paray ga raqeeb ka
Le aur be'qaraar hua be'qaraar dil
Be'taab ho ke bazam se us ki utha diya
Ghafal hoon main magar hai bhout hoshiyaar dil
No comments:
Post a Comment