Jul 23, 2014

Mujh se apna pyaar kabhi wapas mat lena


Mujh se apna pyaar kabhi wapas mat lena
Mujh se yeh iqraar kabhi wapas mat lena 

Kehtay rehna her pal mujh ko main tera hoon 
Mujh se yeh izhaar kabhi wapas mat lena 

Sajtay rehna jhoomar ban kar maathay par 
Mujh se yeh singhaar kabhi wapas mat lena 

Dil main aag lagaye rakhna chahat ki 
Mujh se yeh angaar kabhi wapas mat lena 

Aankhain roshan rakhna apni yaadon se 
Muh se yeh deedar kabhi wapas mat lena 

Khushboo ban kar basna mere tann mann main 
Mujh se yeh mehkaar kabhi wapas mat lena 

Phool sajaye rakhna mere aangan main 
Mujh se yeh gulzaar kabhi wapas mat lena 

Neelma Sarwar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...