Jul 25, 2014

Naya ik rishta paida kiyon karain hum


Naya ik rishta paida kiyon karain hum 

Bicharna hai to jhagra kiyon karain hum 

Khamoshi se ada ho rasm-e-doori 

Koi hangama bar'paa kiyon karain hum 

YEh kaafi hai keh hum dushman nahin hain 

Wafa daari ka dawa kiyon karain hum 

Wafa , ikhlaas,Qurbani , Mohabbat 

Ab in lafzon ka peecha kiyon karain hum

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...