Yeh kiya hua mujh ko 
Sochon main tujhay paaon 
Sajdon main tujhay maangon 
Dil par na raha qaboo
Kiyon kar ussay samjhaon 
Ab lagti hai her lehza
Naraaz saba mujh ko 
Yeh kiya hu amujh ko 
Jalta tha raqeebon se 
Kurhta tha naseebon pe 
Rashak ata hai ab mujh ko 
Sab teray habeebon pe 
Kiya aag hai yeh zaalim 
Aisay na jala mujh ko 
Yeh kiya hua mujh ko 
Zinda hoon agar main to 
Yeh baat ajab si hai 
Tasawur hai tera ya to 
Jeenay ka sabab si hai 
Is zeest ne to kab ka 
Maar diya mujh ko 
Yeh kiya hua mujh ko 
Ae kaash keh youn hota 
Meray saamnay tu hota 
Mujhay chaak giribaan bhi 
Bas ik sakoon hota 
Chahat ki rida mujh ko
Jannat se siwa mujh ko 
Yeh kiya hua mujh ko 
No comments:
Post a Comment