Muddat hui yaar ko mehmaan kiye huye
Josh qadha se bazam-e-chraaghan kiye huye
Karta hoon jamma phir jiger lakht lakht ko
Arsa hua hai dawat-e-mazgaan kiye huye
Phir wazah ehtiyaat se ruknay laga hai dam
Barson huye hain chaak-e-giribaan kiye huye
Dil phir tawaaf koo-e-malamat ko jaye hai
Pindaar ka sanam 'kadha veraan kiye huye
Phir shouq kar raha hai kharidaar ki talab
Arz mata-e-aqal-o-dil-o-jaan kiye huye
Phir chahta hoon , naam-e-dildaar kholna
Jaan nazar dil'faraibi , unwaan kiye huye
Phir jee main hai keh dar pe kisi kay paray rahain
Sar zer-e-baar-e-minat-e-darbaan kiye huye
Jee dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
Baithay rahay tasawar-e-janaa kiye huye
"Ghalib" hamain na chairr keh phir josh ashk se
Baithay hain hum Taahiya-e-toofaan kiye huye
Poet : Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment