Jul 10, 2014

Dil-e-nadan tujhe hua kiya hai ?


Dil-e-nadan tujhe hua kiya hai ?
Aakhir is dard ki dawa kiya hai ?

Hum hain mushtaaq aur woh baizaar
Ya'ilaahi yeh majraa kiya hai ?

Main bhi munh main zubaan rakhta hoon 
Kaash poocho ke muda'a kiya hai

Jab keh tujh nahin koi mojood
Phir yeh hangama. Ae khuda kiya hai 

YEh pari chahera log kaisay hain 
Gham'za-o-ashwa-o-ada kiya hai 

Shikan zulf-e-ambreen kiyon hai 
Nigah chasham-e-sumaa sa kiya hai

Sabza-o-gul kahan se aye hain 
Abar kiya cheez hai , hawa kiya hai 

Hum ko un se wafa ki hai umeed 
Jo jaantay nahin wafa kiya hai 

Jaan tum par nisaar karta hoon 
Main nahin jaanta wafa kiya hai 

Haan bhala kar tera bhala ho ga 
aur darwaish ki sadaa kiya hai

Main ne maana keh kuch nahin ghalib 
Mufat haath aye to bura kiya hai

Poet : Mirza Ghalib


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...