Jul 17, 2014

Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya


Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya 
Jo us ke paas tha , woh mujjay daan kar gaya 

Bichra kuch is ada se keh rut hi badal gayi 
Ik shaks saray shaher ko veeraan kar gaya 

Dil'chasp waqiya hai keh kal ik aziz dost 
Apnay mufaad par mujhay qurbaan kar gaya 

Kitni sudhar gayi hai judai main zindagi
Haan woh jafa se mujh par to ehsaan kar gaya

"Khalid" main baat baat pe kehta tha jis ko jaan 
Woh shakhs aakhrish mujhay be'jaan kar gaya

Poet : Khalid sharif

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...