Jul 21, 2014

Shaher main teri pazerai na hone doon gi


Shaher main teri pazerai na hone doon gi
Tu mera hai tujhay harjai na hone doon gi

Chup rahoon gi jo kahay ga koi tujh ko majno
Is se barh kar teri ruswai na hone doon ga 

Yaad aayon gi tujhay achay dino ki surat 
MAin mukamal teri tanhai na hone doon gi 

Jaanti hoon keh mera hona hai is se mashroot
Apnay dushman ki main paspai na hone doon gi

Achay lagtay hain "Qamar" mujh ko parinday lakin 
Is ko un ka bhi tamanai na hone doon gi 

Poet : Doctor Qamar Araa

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...