Jul 21, 2014

Woh dil hi kiya jo tere milnay ki dua na kare


Woh dil hi kiya jo tere milnay ki dua na kare 
Main tujh ko bhool kar zinda rahoon khuda na kare 

Rahay ga saath tera saath zindagi ban kar 
YEh aur baat meri zindagi wafa na kare 

YEh theek hai nahin marta koi judai main 
Khuda kisi ko kisi se juda na kare 

Agar wafa pe bhrosa rahay na duniya ko 
To koi shakhs mohabbat ka hosla na kare 

Suna hai us ko mohabbat duaein deti hai 
Jo dil pe chot to khaye magae gila na kare 

Bhujha diya naseebon ne mere pyaar ka chaand 
Koi siya meri palkon pe ab jala na kare 

Zamana dekh chuka hai parkh chuka hai ussay 
"Qateel" jaan se jaye par iltajaa na kare

Poet : Qateel Shifai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...