Teray jaisa mera bhi haal tha , na sakoon tha na qaraar tha
Yahi umar thi meray hamnasheen keh kisi se mujh ko bhi pyaar tha
Main samjh raha hoon teri kasak , tera mera dard hai mushtarik
Isi gham ka tu bhi aseer hai , isi dukh ka main bhi shikaar tha
Faqat aik dhun thi keh raat din isi khwaab zaar main gum rahain
Woh saroor aisa saroor tha , woh khumaar aisa khumaar tha
Kabhi lamha bhar ki bhi guftagoo meri us ke saath na ho saki
Mujhe fursatein nahin mil sakein , woh hawa ke rath pe sawaar tha
Hum ajeeb tarz ke log thay keh hamaray aur bhi rog thay
Main khizaan main tha us ka muntazir , ussay intizaar-e-bahaar tha
Ussay parh ke tum na samjh sake keh meri kitaab ke roop main
Koi qarz tha kai saal ka , kai rat'jagoon ka udhaar tha
Poet : Aaitabaar Sajid
No comments:
Post a Comment