Teray koochay her bahanay mujhay din se raat karna
Kabhi is se baat karna , kabhi us se baat karna
Tujhay kis ne rok rakha , teray jee main kiya yeh ayi
Keh gaya tu bhool zaalim idher iltafaat karna
Hui tang is ki baazi meri chaal se tu rukh phair
Woh yeh hamdamon se bola koi is se maat karna
Yeh zamana woh hai jis main , hain buzurag-o-khord jitnay
Inhain farz ho gaya hai gila-e-hayaat karna
Jo safar main saath hon hum to rahay yeh hum pe qad'ghan
Keh na munh ko apnay hargiz taraf-e-qanaat karna
Yeh dua-e-"Muhafi" hai jo ajal bhi is ko awaye
Shab-e-wasal ko to ya'rab na shab-e-wafaat karna
No comments:
Post a Comment