Teray koochay her bahanay mujhe din se raat karna
Kabhi is se baat karna , kabhi us se baat karna
Tujhe kis ne rook rakha , teray jee main kiya yeh ayi
Keh gaya to bhool zaalim ,idhar altafaat karna
Hui tang is ki baazi , meri chaal se to rukh phair
Woh yeh ham'damon se bola koi is se maat karna
Yeh zamana woh hai jis main , hain buzurag-o-khord jitnay
Inhain farz ho gaya hai gila-e-hayaat karna
Jo safar main saath hoon , hum to rahay yeh hum pe qad'ghan
Keh na munh ko apnay hargiz taraf-e-qanaat karna
Yeh dua "Mushafi" hai jo ajal bhi is ko aaway
Shab-e-wasal ko to ya-rab , nashab-e-wafaat karna
No comments:
Post a Comment