Tumhari anjuman se uth kar dewaane kahan jaate
Jo wabasta huye tum se woh afsaanay kahan jaate
Nikal kar deer-o-kaaba se agar milta na meh'khana
To thukraye huye insaan khuda jaane kahan jaate
Tumhari be'rukhi ne laaj rakh li baada khanay ki
Tum aankhon se pila detay to paimaanay kahan jaate
Chalo acha hua kaam aa gayi dewaangi apni
Wagarna hum zamanay bhar ko samjhanay kahan jaate
"Qateel " apna muqadar gham se be'gana agar hota
To phir apnay praye hum se pehchanay kahan jaate
No comments:
Post a Comment