Chupkay chupkay raat din aansoo bahana yaad hai
Hum ko ab tak aashqui ka woh zamana yaad hai
Ya hazaron iztraab-o-sad hazaraan ishtiaaq
Tujh se woh pehlay pehal dil ka lagana yaad hai
Baar baar uthna usi jaanib nigah-e-shouq ka
Aur tera ghussay se woh aankhain larana yaad hai
Tujh se miltay hi woh kuch be'baak ho jana mera
Aur tera daanton main woh ungli dabana yaad hai
Kheench lena woh mera parday ka kona dafatann
Aur dopatay se tera woh munh chupana yaad hai
Tujh ko jab tanha kabhi paana to Az'raah-e-lihaaz
Haal-e-dil baaton hi baaton main jatana yaad hai
Ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi kay khilaaf
Woh tera chori chupay raaton ko ana yaad hai
Dopehar ki dhoop main meray bulaanay kay liye
Woh tera koothay pe nangay paaon ana yaad hai
Aaj tak nazron main hai woh soohbt-e-raaz-o-niyaaz
Apna jana yaad hai , tera bulaana yaad hai
Poet : Hasrat Mohaani
No comments:
Post a Comment