Jul 17, 2014

Tumhari yaad ka mousam kabhi hijrat nahin karta


Tumhari yaad ka mousam 
Kabhi hijrat nahin karta 

Yeh dil ko noch lrta hai 
Maheenay hon ya hon saal 
Yeh dil main baith jaata hai 
Puraanay dard ki surat
Kisi sartaan ki manind
Ragon main phail jaata hai
Bichar kar shaakh yaadon ki 
Mohabbat kay gulaabon ko 
Samar honay nahin deta 
HAmain sonay nahin deta 
Kabhi ronay nahin deta 

Tumhari yaad ka mousam 
Kabhi hijrat nahin karta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...