Jul 17, 2014

Ishq ki dastaan hai piyaray


Ishq ki dastaan hai piyaray 
Apni apni zubaan hai piyaray

Kal tak ae dard yeh tabaak na tha 
Aaj kiyon meharbaan hai piyaray

Hum zamanay se intiqaam to lain 
Ik haseen darmiyaan hai piyaray

Tu nahin main hoon , main nahin tu hai
Ab kuch aisa gumaan hai piyaray

Kehnay sun'nanay main jo nahin ati 
Woh bhi ek dastaan hai piyaray

Rakh qadam phoonk phoonk kar nadaan
Zarhy zarhy main jaan hai piyaray

Haan teray ehad  main jigar kay siwa
Her koi shadmaan hai piyaray

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...