Umeed-o-weham kay mehvar se hat kay dekhtay hain
Zara si dair ko duniya se kat kay dekhtay hain
Bikhar chukay hain bhout baagh-o-dasht-o-dariya main
Ab apnay hujraa-e-jaan main simat kay dekhtay hain
Tamaam khana badoshon main mushtarik hai yeh baat
Sab apnay apnay gharon ko palat kay dekhtay hain
Phir is kay baad jo hona hai ho rahay sar dast
Bisaat-e-afiyat jaan ulat kay dekhtay hain
Wohi hai khwaab jissay mil kay sab ne dekha tha
Ab apnay apnay qabeelon main butt kay dekhtay hain
Suna yeh hai keh sabak ho chali hai qeemat-e-harf
So hum bhi ab qad-o-qaamat main ghatt kay dekhtay hain
No comments:
Post a Comment