Jul 16, 2014

Un kahi ko kahi banana hai


Un kahi ko kahi banana hai 
Aitbaar-e-sukhan barhaana hai 

Log hain doosray zamanay kay 
Aur yeh doosra zamana hai 

Hijar main neend kiyon nahin ati 
Hijar ka zaa'icha banana hai 

Aaj kiya hukam hai meray aaqa
Aaj kis ko utha ke laana hai 

Ae meray rab-e-tishnagi ! yeh bata 
Yeh samandar kissay pilaana hai 

Raat ko roz doob jaata hai 
Chaand ko tairna sikhana hai 

Main samjhta hoon dukh kinaron ka 
Mera dariya pe ana jana hai 

"Baidal" ab main bhi hoon majawar-e-ishq
Ab mera bhi ik aastaana hai 

Poet : Baidal Haidri

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...