Us ne bas itna kaha main ne socha kuch nahin 
Main wahin pathraa gaya main ne socha kuch nahin 
Us ne kiyaa hai kiya nahin mujh ko is se kiya gharz
Woh mujhay acha laga main ne socha kuch nahin 
MAin bhi to insaan tha ik khaami reh gayi 
Main ne jis ko dil diya main ne socha kuch nahin 
Us ki baabat sochna ,sochna bhi raat din 
Phir bhi mujh ko youn laga main ne socha kuch nahin 
Us se main ne kiya kaha yeh to hai ik waqiya 
Yeh bhi hai ik waqiya main ne socha kuch nahin 
Yeh zameen-o-asmaan mera hissa ban gaye 
Phir bhi mujh se yeh gila main ne socha kuch nahin 
Nafratein thein "Saad" jee chahton kay darmiyaan 
Chahton main kiya hua main ne socha kuch nahin 
No comments:
Post a Comment