Jul 2, 2014

Woh kehta hai usay phoolon ki chahat hai


Woh kehta hai
Usay phoolon ki chahat hai 
Magar jab phool khiltay hain 
Woh un ko tor deta hai 

Woh kehta hai 
Usay baarish ka mousam acha lagta hai 
Magar jab baarish hoti hai
Woh kamray main afsurda sa ho kar band ho jat ahai 

Woh kehta hai 
Hawaein ishq hain us ki 
Hawaein lakin chalein jab to 
Woh khirki band rakhta hai 

Mujhe ab dar sa lagta hai 
Woh jab bhi mujh se kehta hai 
Ussay mujh se mohabbat hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...