Yaadon ko apne dil se mitta kiyon nahin dete
Jo jaa chuka hai us ko bhula kiyon nahin dete
Mujrim hoon main tera mujhe itna to bata
Khamosh kharay ho kiyon saza kiyon nahin dete
use jis ke zakham hain inayat teri
Gar hai tumhare paas to dawa kiyon nahin dete
Kai ghar nahin baste hain jin ki waja se
Un adh'jali rasmon ko jala kiyon nahin dete
Us ne tumhari khatir jane kiya kiya nahin kiya
Tum us ki wafaon ka sila kiyon nahin dete
Tumhain mujh se mohabbat hai jaanta hoon main
Yeh baat apne lab se bata kiyon nahin dete
Anmool khazana hain muskurahatein teri
Thora sa issay mujh pe luta kiyon nahin dete
Woh aag jo dil main lagaei thi kabhi tum ne
Woh aag aaj khud hi bhujha kiyon nahin dete
Ek arsa hua chain se soye huye hum ko
Mera chain , meri neend loata kiyon nahin dete
No comments:
Post a Comment