Jul 22, 2014

Yeh hadain na tor dena , meray dairay main rehna


Yeh hadain na tor dena , meray dairay main rehna 
Mujhay apnay dil main rakhna , meray haafzay main rehna

Mera boujh khud uthana ,mera karb aap sehna 
Meray zakham baant lena , mere rat'jagay main rehna 

Meray manzaron main basna , meri guftagoo main hona 
Mere lams main smana , Meray zaiqay main rehna 

Mera hukam khud sunana , Meri mehar khud lagana 
Meray mashwaray main hona , meray faisalay main rehna 

Kabhi dhoop kay nagar main mera saath chor jana
Kabhi mera aks ban kar meray aainay main rehna 

Kabhi  manzalon ki surat meri dastaras se baahir
Kabhi sang-e-meel ban kar meray raastay main rehna 

Meray haath ki lakeerain tera naam ban kay chamkain
Meri khwaishon ki khushboo, meray zaichay main rehna 

Poet : Moeen Nizami

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...