Rootha to shaher-e-khwaab ko gharat bhi kar gaya
Phir muskura ke taaza shrarat bhi kar gaya
Shayed ussay aziz thiein aankhain meri bhout
Woh mere naam apni basarat bhi kar gaya
Mun zor andhiyon ki hathaili pe ik chragh
Paida mere lahoo main hararat bhi kar gaya
Dil ka nagar ujaarnay wala hunar sha'naas
Tameer hoslon ki imaarat bhi kar gaya
Sab ehal-e-shaher jis pe utha'tay thay ungliyaan
Woh shaher bhar ko wajah-e-ziarat bhi kar gaya
"Mohsin" yeh dil keh jis se bicharta na tha kabhi
Aaj us ko bhoolnay ki jasarat bhi kar gaya
Poet : Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment