Toota talism-e-waqat to kiya dekhta hoon main
Ab tak ussi maqaam pe tanha kharra hoon main
Yeh kash'makash alag hai keh kis kash'makash main hoon
Aata nahin samjh main , bhout sochta hoon main
Main ehal to nahin hoon keh dekhay koi magar
Duniya! mujhay bhi dekh , tera aaina hoon main
Aksar ghubaar-e-fikar jab utra dimagh se
Main dang reh gaya keh yeh kiya likh gaya hoon main
Mujh se nahin ussay mere farda se hai umeed
Manzil hai koi aur faqat raasta hoon main
Ghafil ab aur kiya hoon kisi se keh umar bhar
Awargi ki goad main sota raha hoon main
Kiya yeh jaga hai jis ki tamana main aaj tak
Din raat shaher shaher bhatakta phira hoon main
Misa'al ba'dast ghoomtay guzri hai aik umar
Ab kis kay intizaar main tehra hua hoon main
Poet : Anwar Shaoor
No comments:
Post a Comment