Yeh chaand aur yeh abr-e-rawan guzarta rahay
Jamaal-e-shaam teh aasmaan guzarta rahay
Bhara rahaye teri khushboo se tera sehan-e-chaman
Bas ik mousam-e-ambar fishaan guzarta hai
Sama'atein tere lehjay se phool chunti rahain
Dilon kay saaz pe tu naghma khwaan guzarta rahay
Khuda kare teri aankhain hamesha hansti rahain
Diyaar-e-waqat se tu shaad'maan guzarta rahay
MAin khud ko dekh na paaon to kuch malaal nahin
Jahin bhi ho tu , sitara nishaan guzarta rahay
Mera sitara kahin toot kay bikhar jaye
Falak se tera khat keh'kishaan guzarta rahay
MAin tujh ko dekh sakon aakhri bisaarat tak
Nazar kay samnay bas ik samaan guzarta rahay
Main tera saath na de paaon phir bhi tera safar
Gulaab-o-khwaab kay hi darmiyaan guzata rahay
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment