Be'yakeeni ki aik nazam
Na koi ehad , na paimaan
Na wada aisa
Na tera husan hi aisa koi angasht taraash
Na meray haath main taseer-e-zulaikhai hai
Raqas geh hai yeh jahan aur na main sandraila hoon
Na tu shehzada hai
Hum to bas razam geh hasti main
Do mubaarz dil hain
Is taaluq ka koi rang agar hai to hareefana hai
Aik hi thaal se chun'nani hai hamain naan-e-jeven
Aik hi saamp kay munh se hamain mann cheen'nana hai
Aur is kash'makasrizq main mohoom kashaish ki taqleed
Jis qadar meri qnaat main hai
Itni teri fiazi main
Main teri chayon main parveen charhon
Apni aankhon pe teray haath ka saya kar kay
Teray hamraah main suraj ki tamazat dekhon
Is se aagay nahin socha dil ne
Phir bhi ahwaal yeh hai
Aik bharosa hai keh dil sabza kiye rakhta hai
Aik dharka hai keh khoon sard kiyea rakhta hai
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment