Aug 6, 2014

Ghar kay mitnay ka gham to hota hai


Ghar kay mitnay ka gham to hota hai 
Apnay malbay pe kon sota hai 

Khushboo-e-ghair tan se ati hai 
Baazo'on main mujhay samoota hai 

Meray Dil ! Anso'on se haath utha 
KAisi baarish se zakham dhota hai 

Shaam hotay hi meri palkon par 
Kon yeh haar sa paroota hai 

Raat kay be'karaan andheray main 
Koi jugnoo ki neend sota hai 

Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...