Aug 28, 2014

Bhout hi yaad aata hai mere dil ko tarpaata hai



Bhout hi yaad aata hai mere dil ko tarpaata hai 
Woh tera paas na hona bhout mujh ko rulaata hai 

Woh mera teri aankhon kay samandar main utar jaana 
Aur teri muskurahat kay bhanwar main doobtay jaana 

Teri awaaz kay sehar se na nikal paana
Tujh ko dekhna aur be'khudi se dekhtay jaana

Bhout chaha in guzray huye lamhon ko na sochna 
Na teri yaad main reh kay teray saath ka sochna 

Bhulaa doon sari yaadon ko keh jin se dil tarapta hai 
Keh jin se tees uth'ti hai keh jin se dard hota hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...