Kabhi gham ki aag main jal uthaye
Kabhi dil ka daagh jala dia
Ae junoon-e-ishq bata zara
Mujhay kiyon tamasha bana diya
Gham-e-ishq kitna ajeeb hai
Yeh junoon se kitna qareeb hai
KAbhi ashk palkon pe ruk gaye
Kabhi main ne dariya baha diya
Mera jazba-e-shouq to dekhiye
Meri bandagi hai woh bandagi
JAhan tera naqsh-e-qadam mila
Wahin kaaba main ne bana diya
Abhi kar rahay ho tum ibtidaa
Mara keh raha hai yeh tajurba
Tumhain zindagi ki hai aarzoo
Mujhay zindagi ne mitta diya
Abhi kar rahay ho tum ibtidaa
Mara keh raha hai yeh tajurba
Tumhain zindagi ki hai aarzoo
Mujhay zindagi ne mitta diya
No comments:
Post a Comment