Aug 2, 2014

Do gharri muyasar ho us ka hamsafar hona


Do gharri muyasar ho us ka hamsafar hona 
Phir hamain gawara hai apna dar'badar ho 

Ik azaab paiham hai aisay dour-e-wehshat main 
Zindagi kay chehray par apna chashm-e-tar hona 

Ab to us kay chehray main be'pannah cheray hai
Kiya ajab naimat thi warna be'khabar hona 

Her nigah ka pathar aur meray baam-o-dar 
Shaher-e-be'faseelan main , kiya sitam hai ghar hona 

Soch kay parindon ko ik pannah dena hai 
Dhoop ki hakoomat main zehan ka shajar hona 

Us kay wasal ki saa'at hum pe ayi to jana 
Kis gharri ko kehtay hain khwaab main basar hona 

Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...