Main hijar kay azaab se anjaan bhi na thi
Par kiya hua subha talak jaan bhi na thi
Ghar anay main meray , tujhay jitni jhijak rahi
Is darja to main be'saro'samaan bhi na thi
Itna samjh chuki thi main is kay mizaaj ko
Woh jaa raha tha aur main hairaan bhi na thi
Araasta to khair na thi zindagi kabhi
Par tujh se qabal itni parishaan bhi na thi
Jis ja makeen bananay kay dekhay thay main ne khwaab
Us ghar main aik shaam ki mehmaan bhi na thi
Duniya ko dekhti rahi jis ki nazar se main
Us aankh main meray liye pehchaan bhi na thi
Roti rahi agar to main majboor thi bhout
Woh raat kaatni koi asaan bhi na thi
Naqad-e-wafa ko chasham-e-kharidaar kiya mile
Is jinas kay liye koi dukaan bhi na thi
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment