Duniya ko to halaat se umeed bari thi
Par chahnay walon ko judai ki pari thi
Kis jaan-e-gulistaan se yeh milnay ki gharri thi
Khushboo main nahi hui ik shaam kharri thi
Main us se mili thi keh khud apnay se mili thi
Woh jaisay meri zaat ki gum gashta karri thi
Youn dekhna us ko keh koi aur na dekhaye
Inaam to acha tha magar shart karri thi
Kam maya to hum thay magar ehsaas nahin tha
Aamad teri is ghar kay muqadar se barri thi
MAin dhaal liye simat adad dekh rahi thi
Palti to meri pushat pe talwaar garri thi
Kam maya to hum thay magar ehsaas nahin tha
Aamad teri is ghar kay muqadar se barri thi
MAin dhaal liye simat adad dekh rahi thi
Palti to meri pushat pe talwaar garri thi
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment