Dushman ko harnay se bachana ajeeb tha
TArk-e-mudafat ka bahana ajeeb tha
Ik doosray ko jaan na paye tamaam umar
Hum hi ajeeb thay keh zamana ajeeb tha
Zinda bacha na qatal hua tahir-e-umeed
Us teer-e-neem kash ka nishana ajeeb tha
Suntay rahay akeer talak mehr-o-maah-o-najam
Us khaak daan ka sara fasana ajeeb tha
Jis raah se kabhi nahin mumkin tera guzar
Teray talab garon ka thikana ajeeb tha
Ab kay to yeh hua hai keh merau bulaanay se
Us zad-o-ranj shakhs ka ana ajeeb tha
Khona to khair tha hi kisi din ussay magar
Aisay hawa mizaaj ka pana ajeeb tha
Sab daagh barishon ki hawa main bujhay rahay
Bas dil ka aik zakham puraan ajeeb tha
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment