Jo dhoop main raha na rida na safar pe tha 
Us kay liye azaab koi aur ghar pe tha 
Chakar laga rahay thay parinday shajar kay gird 
Bachay thay ashiyano main , toofan sar pe tha 
Jis ghar kay baith janay ka dukh hai bhout hamain 
Tareekh keh rahi hai keh woh bhi khanadar pe tha 
Hum yaad to na ayein gay lakin bichartay waqat 
Tara sa ik khyal teri chashm-e-tar pe tha 
Sab zakham khil uthay to sabak rang hon bhout 
Baaqi yeh qarz-e-nakhun-e-dast-e-hunar pe tha 
Yeh kiya kiya keh ghar ki mohabbat main par gaye 
Awaargan-e-shab ka to hona safar pe tha 
Parveen Shakir 
 
No comments:
Post a Comment