Aug 2, 2014

Ek shakhs ko sochti rahi main


Ek shakhs ko sochti rahi main 
Phir aaina dekhnay lagi main 

Us ki tarah apna naam le kar 
Khud ko bhi lagi nayi nayi main 

Tu meray bina na reh saka to 
Kab teray baghair jee saki main 

Ati rahay ab kahin se awaaz 
Ab to teray paas aa gayi main 

Daman tha tera keh mera maatha 
Jo daagh bhi thay mitta chuki main 

Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...