Awaaz kay ham'raah sarapa bhi to dekhon
Ae jaan-e-sukhan ! main tera chehra bhi to dekhon
Dastak to kuch aisi hai keh dil choonay lagi hai
Is habas main baarish ka yeh jhonka bhi to dekhon
Sehra ki tarah rehtay huye thak gayi aankhain
Dukh kehta hai ab main koi dariya bhi dekhon
Yeh kiya keh woh jab chahye mujhay cheen le mujh se
Apnay liye woh shakhs tarapta bhi to dekhon
Ab tak to meray shair hawala rahay tera
MAin ab teri ruswai ka charcha bhi to dekhon
Ab tak jo saraab aye thay anjaanay main aye
Pehchanay huye raston ka dhoka bhi to dekhon
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment