Aug 20, 2014

Ghazal to bahana hai


Ghazal to bahana hai 
Jab mousam sohana hai 

Baithay hain dareechay par 
Mehboob ko aana hai 

Khamoshi lab-e-baam 
Aankhon se farmaana hai 

Pathar hain phir majnu par 
Yeh kon sa zamana hai 

Ab tor do saagar ko 
Aankhon se pilaana hai 

Barson main to aye ho 
Pal bhar main hi jaana hai 

Chil'man na hatay rukh se 
Dushman yeh zamana hai 

Dushman ko youn na dekho 
Woh dost ban jaan ahai 

Roothay hain sanam mujh se 
Ab jan bhi jana hai 

"Imran" hum aashiq hain 
Ek woh hai be'gaana hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...