Hawa talaash karain , roshni talaash karain
Hum aas paas kahin zindagi talaash karain
Hum apni apni khushi to ganwa chukay hain sab hi
So' dosron ki khushi main khushi talaash karain
Yeh manzar ki kahani bhout puraani hai
Naya zamana, nayi shayeri talaash karain
Udaasiyon ka sabab dhoondnay se kiya ho ga
Jo hum se rooth gayi , woh hansi talaash karain
Praye shaher main phirnay se kuch nahin ho ga
Hum apna raasta , apni gali talaash karain
YAhan kay log to apni tarah kay hain :Mazhar"
Jo apnay jaisa na ho , woh aadmi talaash karain
Poet : Mazhar Niazi
No comments:
Post a Comment