Kaash baadil ki tarah pyaar ka saya hota
Phir main din raat teray shehar pe chaya hota
Mujh se takhleeq ka ilzaam na aata tujh par
MAin agar naqsh-e-ghalat hoon , na banaya hota
Khwaab tootay thay agar teray bhi meri hi tarah
Bojh kuch teri bhi palkon se uthaya hota
Lams haathon ka bhi kaafi tha pighalnay kay liye
Mom kay butt ko zameen par na giraya hota
Raah main aag kay dariya se guzarna tha agar
Tu ne khwaabon ka jazeera na dikhaya hota
Poet : Murtaza Barlaas
No comments:
Post a Comment