Aug 25, 2014

Is ehad main kare na koi baat mir ki


Is ehad main kare na koi baat mir ki 

Kam ho gayi hai lafaz main taqat zameer ki 

Soda na kar keh lafaz main taaqat hai be'shumaar 

Hai chaar din ki baat ameer-o-safeer ki 

Tu shab-e-sukhan hai tu khiwat pe naaz kar 

MAt jaa wahan jahan ho sadaarat wazeer ki 

Aisa bhi kiya yeh nasha-e-duniya keh aadmi 

fariyaad sun na sake khud apnay zameer ki

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...