Aug 25, 2014

Jab thak gaye to phir isi sehraa ko ghar kiya


Awaaragi pe hum ne bhout din guzar kiya 
Jab thak gaye to phir isi sehraa ko ghar kiya 

Thi ik zindagi ki bar'baad woh raat 
Us raat ko basar kiya aur ta'sehar kiya 

Hum pe tha ik shouq ka saya keh saari umar 
Apni hi roshni main kiya jo safar kiya 

Tum log woh keh chor gaye karbala kay beech 
Hum log woh keh jinhon ne tumhain mo'tabar kiya 

Kuch kaam nahin tha pehlay bhi pa'maal mera shaher 
Yeh kis kay paaon ne issay pa'maal kiya 

Kaisi hawa main nikla tha yeh karwaan-e-gul 
Aakhir khizaan kay haath laga jidhar rukh kiya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...