Aug 5, 2014

Ishq main bhi marna itna asaan nahin



Ishq main bhi marna itna asaan nahin

Zaat ko rad karna itna asaan nahin

Mujh main aisi hi khaami dekhi us ne

TArk-e-wafa warna itna asaan nahin

Aik dafa to paas-e-maseeha kar jaye

Zakham ka phir bharna itna asaan nahin

Janay kab sohrat ka zeena deh jaye

Paaon yahan dharna itna asaan nahin

Marnay ki dehshat to sab ne dekhi hai

Jeenay se darna itna asaan nahin

Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...