Jab aur ab
Kiya waqat tha woh bhi jab
Eid se zuada chaand raat ki khushi hoti thi
Galiyaan , Aangan air chah'tein
Chaand dekhnay walon se bhari hoti thein
Apni aankhon se chaand dekh kar
Dua maanga kartay thay
Phir dua bharay haath chehron par phiar liya kartay thay
Aankhon main pehli tareekh kay chaand ka saroor
Aur chehron par chaand ki kirno ka nazool liye
Josh-o-wal'walay se aik doosray ko
"Eid Mubarak" kaha kartay thay
Ab to radio ya tv par
Chaand nikalnay ki itlaah sunatay hain
Jaisay yeh bhi koi khabar ho
Aur apnay apnay kaamon main masroof ho jaatay hain
Ab to woh baat hi na rahi keh
Is ka chehra dekh kay chaand ko dekha kartay hain
No comments:
Post a Comment