Zamen ki gard huye kitnay aaina chehray
Talaash kartay hain ab apnay gum'shuda chehray
Zameen bos huye kitnay phool se bachay
Khizaan ki nazar huye laal kitni maaon kay
Jo mar gaye hain , inhain bhi kahin pannah nahin hai
Jo bach gaye hain inhain zindagi ki chah nahin
Hamaray chaaron taraf hai hamjoom dil-e-zad'gaan
Her aik simat se uth'ta hai shor-e-aah-o-fagaan
Hain zakham zakham badan aur lahoo lahoo aankhain
Zubaan ho band to to karti hain guftagoo aankhin
Her aik shakhs yahan zal'zalay ki zad main hai
Na aitadaal ki surat , na koi had main hai
Woh kon hai keh jissay ia ka gham nahin "Akhtar"
Yeh zal'zala bhi qayamat se kam nahin "Akhtar"
Poet : Akhtar Saeedi
No comments:
Post a Comment