Naat
Jab nazar kay samnay rozay ka manzar aye ga
Khud-ba-khud meri zubaan par zikar-e-saroor aye ga
Dekhna hai saya-e-Ahmed to dekho arsh par
Asmaan ka saya aakhir kiyon zameen par aye ga
Mujh ko nisbat hai Mohammad se , nahin duniya ka khouf
Mujh se takrai to gardish ko bhi chakar aye ga
Tairagi ko kaat day gi jumbish nok-e-qalam
Roshni kay haath main kirno ka khanjar aye ga
Main hoon madah-e-Nabi mumkin nahin mujh ko zawaal
Dekhna kis oj par mera muqadar aye ga
Jis kay dil main aye ga kokab, Mohammad ka khyal
Bakht ki tareekiyon main misl-e-khawar aye ga
No comments:
Post a Comment