Hamd-e-bari-ta'ala
Hosla de fikar ko aur baarish-e-faizaan kar
Hai sana teri bhout mushkil issay asaan kar
Rafta rafta khol mujh par raah haye jisam-o-jaan
Dheeray dheeray mujh pe zaahir tu meri pehchaan kar
Zeest kay taptay huye sehraa main hoon is se nikaal
Meray sar pe bai'karaan rehmat ki chadar taan kar
Kufar alood fiza main saans lena mohaal hai
Phir se is gum karda reh ko saahib--e-emaan kar
Khatam ho jaye bisaat-e-khaak ka sab shor-o-shar
Be'sakooni ko ata phir husan-e-ehtmanaan kar
Khaima-e-shab se yahi awaaz ayi hai subha
Hamd likh aur is tarah bakhshish ka kuch samaan kar
No comments:
Post a Comment