Aug 18, 2014

Kab ruka hai kabhi gard baad-e-zamaan


Kon tehra hai is bhaagtay waqat main 
Kab ruka hai kabhi gard baad-e-zamaan 
Daaman-e-dasht main jaisay raig-e-rawaan 

Jo guzar jaye lamha palat'ta nahin 
Paniyon par koi naqsh jamta nahin 
Ik tahiyur ka malba hai chaaron taraf 
Kuch suragh us musafir ka milta nahin 

Jo bhi hai is ghubaar-e-shab-o-roz main 
Be'sabab , be'talab , be'nishaan , be'gumaan 
Kuch bhi aagay nahin , kuch bhi peechay nahin
Aaj hi aaj hai , hai agar kuch yahan 
Ayo is pal kay pul par praa'o karain 
Kiya khaber hon gay kal , hum kahan , tum kahan 

Poet : Amjad Islam Amjad

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...