Karta hoon jamaa main to bikharti hai zaat aur
Baaqi hai kitni Ae mere Maula, yeh raat aur
Leti hai jalti shaam bhi bujhnay main kuch to waqat
Hai aadmi sa koi kahan be'sabaat aur
Sailaab jaisay leta hai dewaar ko qadam
Karta hai gham bhi dil se koi waar'daat aur
Youn to hazoor-e-pak (Saw) kay laakhon hain madaah khwaan
Taaib se likh raha hai magar kon naat aur
Mazhar, azal kay husan kay amjad hain be'shumaar
Lakin jo dekhiye to hai baarish ki baat aur
No comments:
Post a Comment