Kiya kare meri maseehai bhi karnay wala
Zakham hi yeh mujhay lagta nahin bharnay wala
Zindagi se kisi samjhotay kay ba'wasaf ab tak
Yaad ata hai koi maarnay marnay wala
Us ko bhi hum teray koochay main guzaar aye hain
Zindagi main woh jo lamha tha sanwarnay wala
Us ka andaz-e-sukhan sab se juda tha shayed
Baat lagti hui , lehja woh mukarnay wala
Shaam honay ko hai aur aankh main ik khwaab nahin
Koi is ghar main nahin roshni karnay wala
Dastaras main hain anaasar kay iraday kis kay
So bikhar kay hi raha koi bikharnay wala
Isi umeed pe her shaam bhujhaye hain chragh
Aik tara hai sar-e-baam ubharnay wala
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment