Koi mujh ko daleel dy
Keh main toot kar 
Teray naqash aankh ki putliyon se mitta sakon 
Koi mujh ko aisi daleel dy
Keh umar bhar 
Teri yaad koi jashan hi na mana sakon 
Agar aisi koi sabeel hai to phir aazmaa 
Jo nahin to phir 
Mujhay yaad kar, mujhay yaad aa 
 
No comments:
Post a Comment